Dil Ki Panna - Shayaris

Monday, May 22, 2006

Aadat

Kisi ki aadat ban chuki hu mai
mohabbat nehi ban paya
uski dilome dekha to mujhe
mera chahera nazar aya
jab bate karte hai hum
lagta hai kitna karib hai hum
bichar ne ke samay ashu a jata hai magar
ashu ko rok lete hai hum
jitne tum dur jati ho
utne karib ati ho tum
shuni shuni si eh zindegi me
mohabbat bhardete ho tum

Aap Ko Dekhe BIna

maine jo aapne aapse wada kiya
oh wada na niva payee
waqt ne badal dali mera nasib
haste haste gum ko aapna lya
maine jo kahene ki kosish kya
tumne samjha nehi
diwana kadad dete huye bhi
tumne mujhe thukda diya
ate jate kitne chahera mile
lekin koi aap jaisa lage na
firvi aapko dekhe bina
mujhe sukun aye na...

Tawayee

na jane kis tawayee ki taraf
mujhe eh dil lekar ja raha hai
sab kuch bhulakar bhi mujhe
oh chahera nazar ata hai
sannata kyu chaya hai
iss dilko kanha pata
bas, intezar ki ghadi katti nehi
samay badal jata hai...

na jane kis tawayee ki taraf
mujhe eh dil lekar ja raha hai
sab kuch bhulakar bhi mujhe
oh chahera nazar ata hai
chahat na bhula paya
gum ko bhula diya
sannata se dosti karli
zindegi badal gaya...

be-rahem hu mai dil ki na shuni
maan ko rokh lya dil ki na shuni
kabhi kabhi lagta hai
mujhe kinara mil gayee
lekin, samne dekhta hu jab
registhan nazar ati
tum kanha... aur mai kanha...
kitna duri hai hum pe
firvi khoda se duwa karta hu
tum mil jao hume..
jab koi dekhe mere akhon me
tumhi ko dekhe samne
mohabbat ne na jane kya jadu kya
tumhi ko chahe iss dil ne...

Payar Jo Kar Lya Maine

payar jo kar lya maine
kisise chupana nehi chahta...
tumhare sath bitaya har ek lamhe ko
zindegi me sajana chahta hu...
takdir dil ki bat nehi manti
firvi dil ne tumko chaha...
payar jo kar kar lya maine
kisise chupana nehi chaha...

mohabbat ki bahut sare rang hai
ek rang mere zindegi ko rangdi
usi rang me asiqi nivana chahta hu mai
duniya me dil-walo ki koi nehi sunta
haste hai log sare
mere payar ko bekhudi, kahete hai sare
payar kise kahete hai
sayad mujhe nehi pata
itna pata hai ke...
tumhare bina eh zindegi adhuri hai
zindegi me bahut sare rang, dekha hai maine
lekin payar ki hasin rang
nasib me nehi mila
jo do lamha, mere zindegi me diye ho tum
ohi lamha zindegi hai meri...

itne dino bad tumse bat huye
mujhe laga duniye rangin ho gayee
tumhare lye dowa karta hu
tum khus raho chahe hum rahe yah na rahe
payar jo kar lya maine
kisise chupana nehi chahta
tumhare sath bitaya oh lamhe ko
takdir banana chata...

Friday, May 19, 2006

Hi!

Likhne Ki Bahut Kosis Kya Hai Maine

likhne ki bahut kosis kya hai maine

lekin… jitna lavs hai sab dilke andar dabi hai

mohabbat-bhari nigaho se

dekhne ki kosis karta hun toh…

tumhari chahera yaad ati hai

yaad ke sahare jine ki kosis karta hu toh

mere aapni nigahe tham jati hai

jab mai duniye se bate karta hu toh

har taraf srif kante hi nazar ati hai

khud ko mitane ki bahot kosis kya tha maine…

tumhari yaad ne mujhe rokh liya

na jane kaunsi samundar ke paas

le jaye bahiti huyee eh dariya…

mere nao me koi sawari nehi

jisko koi kasti nazar aye

akela sawari hu mai jo nao ko kinare ki taraf le jaye

mujhe aur bhi dur jana hai magar,

samundar ki laher na jane kyu tham gaya

lagta hai, adhura rahe jayega eh safar tumhare bina

humsafar tumkoi chuna maine

yaado se bahar aao tum

jo sapne dekha tha hum ne usko…

usko zindegi me kasti ki taraf le jaye hum…

tumhe lag raha hai… mai kyu eh kahe raha tumse

kyu itna lavso ki tir chala raha hu tumse

tum to bhula chuke ho mujhko…

fir kya huya mujhe, jo tumhi ko dhunta hai eh nigahe

iss nigahe ko rokhne ki kosis na karo tum

duniya tumhe dosi kahega… aur mai duniya ko

kyu ke eh mera diwanapan hai…

jo tumse jura hai dunya se nehi…

Wednesday, May 10, 2006

Kosish

Kosish kya tha hum-ne
Tumhe aapni dil ki bat
Bolne ke lye
Lekin, bakt-ne mere
Juban ko rokh lya

Kosish kya tha hum-ne
Tum-pe samha jane ke lyee
Lekin bakt-ne mujhe
samha-ne nehi dya

Mere dil me bahat bate chupe hai
Jo main tum-ko sunana chahata tha
Lekin bakt-ne tum-ko
Mujhse chupa dya

Tum kaheti ho mujhse,
Tumhari dil, tumhari zindegi se
jane ke lya
Lekin mere dil me jo tum samha gayee
Oh kaise mita due

Saabhi kahete hai
tumhe bhula-ne ke lye
Lekin oh bakt kaise bhula due

Roshni

Roshni to bahat hai mere zindegi me
Lekin mujhe kiran dikhayee nehi deti
Kuhsi kya hai, dard kya hai
Koi ahesash bhi nehi hota

Ahesash hone ke lyee jo dil chahye
Usse bazaar-me nilaam kar-di aapne
Ashoo ki ek bund giri thi kabhi
Aaj dug banke rahe gayee
Main-ne kosish kya tha mitane ke lye
Lekin, our bhi gahera ho gaya

Samay sab-kuch bhula deta hai
Lekin mere dard ko bhula nehi paya
Mere dil ki ek tukre tum-ne nilaam kya
Dushre ko main-ne samhal lya

Hasin toffa

Jab main nind me shone lagta hu
Tum aakar mujhe jaga deti ho
Tum hamesa mere sapna-me aati ho
Lekin, jab main tumhe talash karta hu
Na-jane kaha tum chupke mujhe satate ho

Zindegi ek paheli hai
Na jane kaha mujhe lekar jaye
Issi-ke dayere me rahekar tumhe dekhta hu
Uss hasin lamhe, jo tum sapna-me deti ho
Main usse rok-kaar rakhna chahata hu
Lekin bakt-ne mujhse oh lamha le jati hai

Eh jo payaar ka ahesash tum-ne mujhe dya
Main usse hamesa samhalkar rakhenge
Taki, tum jab mujhe milogi
Main eh toffa tumhe de saku

Khushi

Nazar ke samne jab tumhe dekhta hu
To, mujhe oh din yaad ata hai
Oh din yaad ata hai, jo hamne ek-sath guzara

Nazar ke samne tumhe dekhta hu
To, mujhe oh lamha yaad ata hai
Oh lamha, jaha tum mujhe chor ke ayee thi

Mousam badal gaya, pal beet gayee
Lekin main oh lamha na bhula pai
Oh aaj bhi mere dil ko chubte hai
Tum to khush ho aapni basai huyee dunya me
Lekin, haste-haste mere dunya uzaar ke chali gayee

Main-ne eh pucha nehi kue kya ehMujhe laga, tumhari khushi me meri dunya hai

Kagaj lya maine

Kagaj lya maine kunch likhne ke lye
Magar koi sabdh mere maan-me ati nehi...
Kunch tumse kahena chahti
Tumhari samne yuva par ati nehi
Kaise kahedu aapni dil ki bat
Mere akhon se parlo tum
Sabdh banke nikalna chahti hai
Lekin, yuva par aakar thum jati hai...

Aksar aysa hota hai mere sath
Kunch yaad raheta, kunch bhul jata hu...
Kabhi-kabhi kalam se kunch likh leta hu...

Saas lete samay tumhari num yaad ata hai
Tumko saunch-ta hu toh, oh hasin pal yaad ata hai

Mere akhon se parlo tum
Joh yuva par na aye
Oosh mausam ko yaad karna
Joh humne milkar katai

Kagaj me kya likhu kuch samaz na aye
Kunch likhna chahata hu magar sabdh na pai
Kauda kagaj chordya
Hoh sake toh kunch tumvi likh dena
Eh mera zindegi hai, thoda payaar bhar dena

Chupe sabdho me tum raheti hoh
Aur tumse hi toh sabdh banti hai
Zindegi me aage jakar sayad main na rahu
Lekin eh sabdh rahe jayega
Tumhe oosh hasin pal yaad dene ke lye

Tumhari joh tasbir hai mere dil me
Oh maine iss kagaj par bhar lyaTum jab dekhogi, mere saya tumhe nazar ayegi

Zindegi

Zindegi, ek khel ki maidan hai
Hum sab khilari
Yha koi jeet-ta hai toh koi har-ta jata hai

Hum sab do-din ke maheman hai...
Lekin, koi aapna swarth nehi chorta
Main kuch eh mangta, tum kuch aur...
Nasib me joh likha-kar ayaho
Uska kya hoga nasiba...
Tumhe agar aapni manzil mil jaye
Mujhe batana, main bahat kush honge...
Chahe aur koi humpe kue na hasay

Kismat ka khel hai sab
Barahi anjani si hai
Ho sake to sath na dena...
Lekin, ahesas hi kaphi hai

Ha, main bhi kuch ban-na chahata tha
Lekin, ban na paye...
Sab mujhpe haste hai
Aur kahete hai, main kuch kam ke layek nehi...
Ha mere sathi, tum ho ah mere zindegi
Chahe khusi na mile, gum to paye...

Main aur Tum

Main aag hu joh, tumhari payaar me jalta hai
Tum roshni ho joh, andheri raat-me rasta dikhata hai
Tum titli ki tarah urti ho, panchi ki tarah gati ho
Tum bolti ho toh dunia diwana ho jata hai
Tumhari ek isharo pe admi jaan de-dey
Tum bologi toh tanhai dur chala jai…
Tum sayer ki kabita ho
Tumse kya kyhe hum? mere paas koi sabdh nehi
Tum se aap, aap se tum…
Kaise bhi pukare, aap payaar ke dastan ho…
Ji, aap-se ek hi binti hai
Aap hamesa khoosh rahe
Mere doya sath hai aap-ke Duniya sath rahe yah na rahe…

Tum aur…

Ashman par jab megh jamti hai
Tab barish hone ki sandesh ati hai
Barish ati hai toh
Mayoor pankh unthake nachti hai
Shukhi zamin fir se khil uthti hai
Kheto jaan a jata hai
Barish ke boon-doh ko dekh kar mujhe oh hasin pal yaad ati hai
Iss barish me tumhari khusbu ati hai

Mayoor ko nachte hu-e dekhkar tumhari ghungru yaad ati hai
Ji karta hai eh hasin lamha ko rokh lu aapni hato se
Tum jab aaogi tab tumhe, eh tofaa du mere akhon me sazakar

Barish ke boondye bahe jati hai mere akhon se…
Eh boondh le jati hai mere khabar tumhari kano-tak
Thora koshish karna shun-ne ki
Tumhe sunai degi mera eh awaz…
Barish tham gaya, laher shukh gaya
Thama nehi mere manki pukar
Jab naya suraj nikle tumhe dikhai degi oh bitye huye din

Suraj jab tumhari galo-me pade tumhe aur hasin bana deti hai
Tumhe dekhta sabhi payaar ki akhon se
Lekin, tum reheti ho aapni khayalo-me khoya huye…
Tumhari adaye suraj ki kiran ki tara
Tumhari sararat, sab ki gaum bhula de…
Fir, tum kue itna dur ho?
Ajao mere paas, ke tumhe bharlu aapni bahome…
Tum rauho suraj ki kirno ki tara…
Taaki, mere siba koi tumhe chu na sake…

Tumhari Saya

tumhari akhen, jabse mayne dekha haikahi aur nazar nehi gay…Ji karta hai tumhari akhon par mar mitu

tum toh hushnu ki malika ho
na jane kitne ko diwana banaya tumne…
mere akhon se tumhari chayhera uttarti nehi, kya karu maay?

Na jane eh kya ho gaya mujhe…
Na koi hosh hai, na kisi bat ka nazar…
Mai baas har bakt doya karta hu,
tumse ek bar mulakat ho jayee…
ek janam toh kya, tumhare lye saat janam tak mai intejar karunga…

khoda se ehi dua karta hu…tum a jao mere samne, ek bar tumse bat karu…lekin, mera dua sayed manjur nehi
iss lye tum ittna dur ho mujhse…aagar hum na mile, prem toh tumhi se karunga
chahe zindegi bhar akela kue na rahe hum…
issiko sayed payaar kahete hai…

main diwana ho gaya hu tumhari payaar me
diwanapan diwangi se hota hai
aur, diwangi tum ho…
main kaun hu janta nehilekin, agar kuch hu toh baas tumhari saya…

DIP-II

Diwana diwangi se hota hai
Aasiki katil aadao se marti hai
Tumhari aadao pe main mar mita…
Main toh baas diwana ho gaya…

Dye agar na jaalye toh,roshni nehi milti
Tumku aagar na dekhe toh,
Zindegi ke matlab na samajh aati…

Ajao mere zindegi me
Ek bar jina sikha doh…
Isk kya hai humne tumse,
Asiki ke lye…
Likh diya mera num…
Tumhari zindegi ke lye…
Isk kya hai tumse toh duniya ne pucha… kue?
Ashiki tumse hai lekin,tumne dekh hi nehi…

Jiss din mile-thay hum
May baas tumko dehkta rahe gaya
Ush din se tumhari talash me hu
Na jane kab manzil mile?
Din nehi katti, raat tham zati hai
Taro se bolta hu, tumse bate kara de
Iss khayal ko kya num du mainkuch sochta hi nehi…
Baas tumhari intezar hai
Kaub tum aogi mere dissa par…

Zindegi, zindegi ek bar milti hai
Kuch karna hai baki
Aagar tum ajao, dunia ko bata du mera bhi koi hai…
Eh tanhai katta nehi tumhare siba
Raat thaam jati hai tumhare siba
Mujhay jo gung sunai deta hai oh tumhari hoto se nikalti haiAur mere kano me bazti reheti hai…

Dip

Jane eh dil kai se kho gaya
Main toh baas, diwana ho gaya
Tum ne toh kuch nehi kaha
Lekin, main ne kya soon lya?

Hato ke lakir me likh dya jot teri nam
Oh main na mita paya
Barish ne mujhe aisay bhigya jai se,
Teri anchal mere uppar urra diya…

Mere khayalo par tum har bakt reheti ho,
Sote-jagte baas, tumhari chaherahi nazar aati hai!
Iis kathin safar me
Tumhari saat chaye mujhe…
Tum aapni adao se na jane kitne ko diwana banaya?
Baas ek aur nam jur gaya…

Mere zindegi ki ek panna tumne,le lya ek muskurat se
Eh mera kasur hai, main ne tumse payaar kar lya!

Na main kisi ke ho payange!
Na mera dil kisi aur ko chayenge!
Ek bar tum aa jaobaas mera dil rakhne ke lye…

Main toh sayer nehi hu
Sayeri mujhye aati nehi…
Kuch kosis kya, baas tumhare lye…

Hal hi mye likha doh pannatum chaye toh faar doh!
Kuch main bolna chaya,ho sake toh par lo…

jane eh dil kue kho gaya...
jane main kue diwana ho gaya...
tumne toh kuch nehi kaha...lekin main kya soon lya?

Diwanapan

Aap kue itna sundar hai ke…
Jineko ji kart a hai
Aapki sundarta dekhkarji kar bhi marne ko ji kart hai…
Aap ko main jab bhi dekhta hu
toh… aapke lye marneko ji karta hai
main aapki andaz par fida hu…
kya eh mera kasoor hai?
main toh baas, diwana hu
aap mera diwangi hai…

aap ko aagar sisha se dekhe toh
sisha sarmati hai,
aap itna hasin kue hai?
lagta hai prakiti ki har rang,
aap ke sama gaya
dunia be-rang ho gaya…
jabse aapke bin ke jina para

main jab aapko dekha toh
sochna band ho gaya…
sochta hu, kua upper bala aapko banaya?
aagar hum milye toh kaise mile?
bas ek mulakat hi toh hai
jo jindegi bhar yaad rahega…

main toh baas aap ko dekha
kya eh mera galti hai?
galti hai toh saja ke haqdar hu main
lekin…, srif aapki hato se…

sayed issiko diwanapan kahete hai?
Sayed main diwana hu
sayed kuch bhi nehi hu
sab upper baleki khais hai…
mera khuda se ehi dua hai
ke, hum dubara mile…milye baas jurne ke lye… naki phir bichre…

Diwangi

Kitne log aaye, kitne log gaye
Koi na uttar paya iss dewangi se
Har koi kahekar gaya
Ke main diwana hu...

Phool main aagr katain na ho
To ush phool main maza kya hai
Husnu ke aakhon pe aagr,katil aadya na ho toh oo kye hassina hai?

Tumhari kaatil aada dekhkarmain toh fida ho gaya
Ji karta hai issi aakhon pe dub jau
Iitna gaheri hai kya tumhari aakhen

Agaar azmana chahti ho
Iis bande ko…
Hum wada karta hu… tumko naraz nehi karenge iis diwanapan se…

Kuch Na Bhul Paya

Kal itna pas thi
Aaj kue itna dur chali gayee...
Ankhon ke samne rahekar bhi,
Itna dur kue ho gayee tum?
Tumko chuna chahata hu
lekin, tumhari saya nazar aayee
Saya se bate karta hu toh
Dar lagta hai ke, tum aur na
dur chali jaun...

Samay ke sat sat mousam badla
Mera chahat na badla
Main aaj bhi utnahi payaar
karta hu tumse, jaise pahela payaar ho
Gum-sum ho gaya hu main tumhari inkaar ko dekhkar
Main janta hu, tum mujhe aur chati nehi ho
Main ek au-safal admi... eesay kaun chahega ?
Main toh tumhi ko chaungajab tak jiun tab tak…

Rat ko jab tum mere passme soti homujhe aachya lagta hai
Tum nindo me jab raiheti hoji kart a hain ek chumban aakh du tumhari galo pe
Lekin, dar lagta haitumhari nind tunt na jayeMera payaar hamesa rahega tumhari saungbass.. bewaafai na karna tum mere saung

Kisi Ki Yaad

Kue yaad aati ho tum baas...
Yaad aane ke lye…
Aakar chali jatiho tum
Mujhe gaum den eke lye…

Duniya dekh rahi hai
Main raun raha hu
Kisine sauncha nehi kue!
Raun raha magar
Pata nehi kue!

Dil se nikli thi jo bat
Zuba par na aye
Akhon se bahe gaya
Hoto pe na aye...

Tumko jab main dekhta hu
Au hasin pal yaad ati hai
Uss lamha ko rokna chata hu magar
Rait ki tara nikal jata hai

Ek sapna dekhha tha main ne
Jo manjil na payee
Baas, rasta mehi bichar gaya
Jo kinara dikhaye oh sathi na payee

Kue yaad ati ho tum
Bass, yaad an eke lye
Ankar chali jati ho tum
Mujhe gaum den eke lye

Ye jo kahani likha maine
Tanha dil ke sath
Aakar ekbar dekhto jao
Kaise ji raha hu mainye

Jine ki khoais chor diya tha maine
Tumhari jane ke sath-sath …
Haubar me ji raha hu
Manjil toh dur ki bat

Na kaui ashu, na kaui dastan
Tumhari yaad ke siba
Har koi dekhkar kaiheta hai
Main toh diwana ban gaya hu

Aagar yaad na ana chahati ho
Laut aao mere zindegi mein
Sahara ban jao mere
Manjil ke safar mein

Mera duaa hai,
Tum khus rauho zindegi vaur
Main na rahu... ye tanha na raihenge
Baas, yaad rakhna iis aznobi ko,
Zindegi var...

Sunday, May 07, 2006

Mehefil Sajake Baithe Ho Tum

mehefil sajake baithe ho tum...
kitne sare hai tumhari chahnewale...
chandi ke bazar me nilam na karo...
aapni sajai huyee eh dil...

kaise sukhriya aada karu iss mahefil ki...
jisko tumne rousan kya...
lekin dard-bhari eh dil dekh raha hai...
bazaru to hai bahut magar,
chahnewala koi nehi...

iss kon-me baitha hai eh asiq...
aapni mohabbat ko lutane ke lye...
ekbar baas dekhlo tum
tumhari mehefil fir saj uthegi...
aapni lutai huyee iss diwangi se...

About this Blog

Hello All!

My name is Rahul Das from Kolkata. I have created this blog to record something that is a result of my passion - writing shayeri's.

The following posts are a series of my compositions. If you like them please post your views here.

Enjoy.